Lyrics: Ya Toh Barbaad Kar Do
- Singer: Arijit Singh
- Lyrics: Sandeep Srivastava
- Composed: Pritam
- Movie/Album: Ludo
- Length: 4:22
- Release: 2020
- Label: T-Series
Ya toh barbaad kar do
Ya toh barbaad kar do, ya phir aabaad kar do
Ya toh barbaad kar do, ya phir aabaad kar do
"Woh galat tha, yeh sahi hai," jhooth yeh aaj keh do
Itna ehsaan kar do
Itna ehsaan kar do, poore armaan kar do
Lab pe aakar jo ruke hain, dhaai woh harf keh do
"Meri saanson se judi hai teri har saans," keh do
Mushkil aasaan kar do
Kar do, kar do, mushkil aasaan
Mushkil aasaan kar do
Ya toh barbaad kar do, ya phir aabaad kar do
Ya toh barbaad kar do
Meetha sa yeh zeher main toh peeta rahunga
Tu Khuda na sahi, main toh sajde karunga
Mm, mm
Meetha sa yeh zeher main toh peeta rahunga
Tu Khuda na sahi, main toh sajde karunga
Tum jo Shirin na hue kya? Hum ko Farhad kar do
"Meri saanson se judi hai teri har saans," keh do
Mushkil aasaan kar do
Ya toh barbaad kar do, ya phir aabaad kar do
Ya toh barbaad kar do
Keh do (keh do), keh do (keh do)
Keh do (keh do), keh do (keh do)
(Keh do)
Khwabon ko jagah na mili aankhon mein
Wahan pehle se hi sailaab tha
Naghme banata phira saazon pe
Dil apna faqat mizraab tha
Mm, oh-oh
Khwabon ko jagah na mili aankhon mein
Wahan pehle se hi sailaab tha
Naghme banata phira saazon pe
Dil apna faqat mizraab tha
Meri bejaan hasraton ko qaabil-e-daar kar do
"Meri saanson se judi hai teri har saans," keh do
Itna ehsaan kar do (kar do, kar do, itna ehsaan)
Itna ehsaan kar do, poore armaan kar do
Ya toh barbaad kar do, ya phir aabaad kar do
0 Comments